Haryana BPL, AAY Ration Card Online Download

Haryana Sarkar ne gareeb parivaron ke liye BPL (Below Poverty Line) aur AAY (Antyodaya Anna Yojana) ration card banane ki prakriya ko automated kar diya hai. Ab jin logon ki family income Rs. 1,80,000 se kam hai aur jinke documents verified hain, unka BPL card automatic generate ho jata hai. Citizens ko iske liye kisi office me jane ki zarurat nahi padti.

जरूरी सूचना

  • Jin logon ki verified income Rs. 1,80,000 se kam hai, unka BPL card automatically generate hota hai.
  • Income verify hone ke 3 mahine baad naam BPL list me aa jata hai.
  • Agar kisi parivar par exclusion criteria lagu hota hai, to unka BPL card nahi banega.

BPL Card Ke Liye Kaun Eligible Nahi Hai? (Exclusion Criteria)

  1. Electricity Bill Exclusion: Agar high consumption hai, to 1 saal tak card nahi banega.
  2. ITR Bharne Wale: Jinhone income tax return file kiya hai, unka 3 saal tak card nahi banega.
  3. 200 Gaj ya 100 Gaj ka plot wale: In parivaron ka BPL card nahi banega.
  4. Industrial Area Job / PF case: Jinki salary Rs. 15,000 se zyada hai, eligible nahi hai.
  5. Fasal Panjikaran: Agar kisi vyakti ne 4 faslon ka byora diya hai, to chahe wo malik ho ya thekedar, BPL card nahi banega.
  6. Sarkari aur Haryana Kaushal Nigam ke karmchariyon ke BPL card nahi banenge.

Income Limit Mein Badlav

Pehle Haryana mein BPL ke liye 1,20,000 tak ki income walon ko shamil kiya jata tha. Lekin ab Manohar Lal Khattar Sarkar ne is limit ko badha kar 1,80,000 kar diya hai. Isse zyada logon ko BPL aur AAY card ka fayda mil raha hai.

Automated Ration Card Scheme

Pichle kuch samay se Haryana mein BPL ration cards nahi ban rahe the. Lekin ab CM ne Automated Ration Card Scheme ki shuruaat ki hai. Iske tahat BPL aur Gulabi ration cards automatic banaye ja rahe hain.

BPL Card Kaise Banega?

  • Income Proof: Family ID mein agar aapki income Rs. 1,80,000 se kam hai, to aapka naam automatic BPL list mein generate ho jayega.
  • Manual Apply karne ki jarurat nahi hai.
  • Name Missing hone par Family ID mein income sahi karwa sakte hain.

Ayushman aur BPL List Mein Naam Check Kaise Karein?

Agar aapki family ID mein income 1.80 lakh se kam hai to aapka naam Ayushman Bharat Card List ke saath BPL Ration Card List mein bhi hoga. Aap niche diye gaye link se apna naam search kar sakte hain.

BPL Card Cut Hone Par Complaint Kaise Karein?

Agar aapka naam list se cut ho gaya hai to complaint karne ke liye niche diye gaye Toll-Free Numbers par sampark karein:

  • 18001802087
  • 1967

Haryana Ration Card Ke Prakar

Ration Card TypeDetails
APL CardAise parivaron ko diya jata hai jo gareebi rekha se upar hai. Har mahina 15 kg ration milta hai.
BPL CardAise parivaron ke liye jo gareebi rekha se neeche hain. Har mahina 25 kg ration milta hai.
AAY CardBahut gareeb parivaron ke liye. Har mahina 35 kg ration milta hai.